Kisi Ghar Mein Koi Pathar Gira Tha

Kisi Ghar Mein Koi Pathar Gira Tha
Magar Nazlaa Faqat Mujh Par Gira Tha

Anaa Mein Dabb Gaye Sub Khuwaab Meray
Buton ke Sar Pe Khud Mandar Gira Tha

Main Aksar Jhaankta Tha Paaniyon Mein
Meray Hi Aks Par Kankar Gira Tha

Sadaa Aati Bhi Gar To Kon Sunta
K Sheesha Toot Kar Andar Gira Tha

Sanbhalnay Ki Bhi Himmat Thi Na Us Mein
Wo Kaisay Morr Par Aa Kar Gira Tha

Meray Paaon Mein Larzish Tak Na Aayi
Usi k Haath Say Khanjar Gira Tha

Saleem Un Ghaation Say Kaisy Bachta
Jahaan Par Raasta Katt Kar Gira Tha

Comments