Khuwahish e Deed Bhi Khud ko Bhi Chupaiye Jaon

Khuwahish e Deed Bhi Khud ko Bhi Chupaiye Jaon
Aur Ilzaam Bhi khud Par Hi Lagaiye Jaon

Haye Afsoos k Tujh Se Na Nibhai Duniya
Tujh ko Majboriyaan Kab tak Main Bataiye Jaon

Log Aa Aa k Mere Dil Mein Lagaen Aatish
Roz Chhup Chhup k Isay Aur Barhaiye Jaon

Main k Mujrim Bhi Nahi Wajh e Judai Bhi Nahi
Janay Q Sharam Se Sar ko Main Jhukaiye Jaon

Ab Na Manzil Hai Na Ehsas Na Rasty ki Khabar
Zindagi Bojh k Manind Uthaiye Jaon

Paa Ba Jolaan Bhi Nahi Paa e Shikasta bhi Nahi
Phir bhi Har Khaar Main Palkon Se Uthaiye Jaon

Zindagi Guzri To Bas Aik Hi Pal Mujh Ko
Ab Kahan Tak Main Gham e Umer Sunaiye Jaon

Comments