jo Mil Saki Na Mujh ko Jageer Naachti Hai
Aankhon Mein Ab Bhi teri Tasveer Naachti Hai
Apna Bana k Tujh ko Ghar To Basa Lon Lekin
Sar Par Musafirat ki Shamsheer Naachti Hai
Bach Kar Nikalna Chahon Lekin Nikal na Paaon
Yaadon ki Teri Har Soo Tanveer Naachti Hai
Hum Sokhta Dilon ka Kiya haal Poochte ho
Har Roz Sar pe koi Taazeer naachti Hai
Pesh e Nazar Hamaare Khuwabon ki Kirchiyan Hain
Aur Aainey ki Soorat Taabeer naachti Hai
Aati Hai Saamne khud Manzil Tawaaf Karti
Jazbe ki Jab Lahu Mein Taaseer Naachti Hai
Kiya Ho Gaya Hai Tum ko kuch To Batao BaBaR
Maathe Pe Q Shikan ki Zanjeer Naachti Hai

Comments
Post a Comment