Jaisa Hon Waisa Q Hon Samjh Sakta Tha Main

Jaisa Hon Waisa Q Hon Samjh Sakta Tha Main
Tum Ne Pocha To Hota Batla Sakta Tha Main

Aasooda Rehny Ki khawahish Maar Gayi Warna
Aagy Aur Bahut Aagay Ja Sakta Tha Main

Choti Moti Aik Leher Hi Thi Mere Andar
Aik Leher Se kya Tufaan Utha Sakta Tha Main

Kahin Kahin Se Kuch Misray Ek Aadh Ghazal Kuch Shair
Ess PoonJi Par Kitna Shor Macha Sakta Tha Main

Jaise Sub Likhtay Rehtay Hain Ghazlain Nazmain Geet
Waisay Likh Likh K Anbaar Laga Sakta Tha Main

Comments