GHam e aasHiqi se keH do raH e aam tak na poncHe

GHam e aasHiqi se keH do raH e aam tak na poncHe
MujHe kHof Hay ye toHmat mere naam tak na poncHe

Main nazar se pee raHa tHa to ye dil ne bad dua di
Tera HaatH zindagi bHar kabHi jaam tak na poncHe

Wo nawa e muzmaaHil kia na Ho jis mein dil ki dHarrkan
Wo sada e aHel e dil kia jo yar tak na poncHe

Mere taayer e nafs ko naHe baagHbaan se ranjisH
Milay gHar mein aab o daana to ye daam tak na poncHe

Nayi subaH par nazar Hai magar aaH ye bHi dar Hay
Ye seHar bHi rafta rafta kaHein sHaam tak na poncHe

Ye ada e benayaazi tujHe bewafa mubarak
Magar aesi berukHi kia jo salaam tak na poncHe

Jo naqaab e rukH utHa di to ye qaid bHi laga di
UtHe Har nigaaH lekin koi baam tak na poncHe

UnHein apne dil ki kHabrein mere dil se mil raHi Hain
Main jo un se rootH jaaon to payaam tak na poncHe

WoHi ik kHmosH nagHma Hy jaan e hasti
Jo zabaan per na aaye jo kalaam tak na poncHe

Comments