Di Hai Wehshat To Ye Wehshat Hi Musalsal Ho Jaaye

Di Hai Wehshat To Ye Wehshat Hi Musalsal Ho Jaaye
Raqas Kartey Howey Etraaf Main Jangal Ho Jaaye

Ay Meray Dasht Mizaajo Ye Meri Aankhen Hain
In Se Roomal Bhi Cho Jaaye To Badal Ho Jaaye

Chalta Rehney Do Miyan Silslah Dildaari Ka
Aashqi Din Nahi Hai Ke Mukamal Ho Jaaye

Haalat e Hijar Mein Jo Raqs Nahi Kar Sakta
IsKe Haq Main Yahi Behtar Hai Ke Pagal Ho Jaaye

Mera Dil Bhi Kisi Aseeb Zada Ghar Ki Tarah
Khud Ba Khud Kholney Lagay Khud Hi Muqfal Ho Jaaye

Doobti Nauo Mein Sab Cheekh Rahay Hain
Aur Mujhey Fikar Ghazal Meri Mukmal Ho Jaaye

Comments