Dharrkanay Muskuraati Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Dharrkanay Muskuraati Hain Ab Bhi Teri Aahat Par
Dard Bhool Jaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Shabnami Sitaaron Mein Phool Khilney Lagte Hain
Chaand Muskuraata Hai Ab Bhi Teri Aahat Par

Umar Katt Gayi Hai Magar Bachpana Nahi Jaata
Hum Diye Jalaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Ghantiyaa'n Si Bajti Hain Raqss Hone Lagta Hai
Dard Jagmgaatey Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Teri Yaad Aaye To Neend Jaati Rehti Hai
Khuwaab Toot Jaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Comments