Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha
Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha
Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha
Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha
Sard Rut Mein Musaafiron Ke Lye
Pyar Ban Kar Alaao Jalta Raha
Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht Phalta Raha
Dil Mere Tan Ka Phool Sa Bacha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha
Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha
Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha
Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha
Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha
Sard Rut Mein Musaafiron Ke Lye
Pyar Ban Kar Alaao Jalta Raha
Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht Phalta Raha
Dil Mere Tan Ka Phool Sa Bacha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha
Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha
Comments
Post a Comment