BeRabt Husn o Ishq ye Kaif o Asar kahan

BeRabt Husn o Ishq ye Kaif o Asar kahan
Thi Zindagi Azeez magar Is Qadar kahan

Tere Baghair Ronaq e Deewar o Dar kahan
Shaam o Sahar ka Naam hay
Shaam o Sahar kahan

Kya Jaaniye Khyal kahan hay Nazar kahan
Teri Khabar ke Baad Khud Apni Khabar kahan

Maana k Mohtasib bhi Bara Ba Shaoor hay
Lekin Usay Nazakat e Gham ki Khabar kahan

Kehnay ko Ehel e Ilm ki koi Kami nhi
Lekin Khud Apni Fikar Khud Apni Nazar kahan

Tark e Taaluqat ko Mudat guzar chuki
Zaalim Tere Khayal say Fursat mili kahan

Comments