Acha hi huwa ke Lehron ne usay bahir Phenk diya

Acha hi huwa ke Lehron ne usay bahir Phenk diya
Warna vo Pyasa Dariya ko Thal kar daita

Main Qaail to karta usay Aankhon Aankhon men
Mager woh Baton Baton mein mujhe Shal kar daita

Gar main na mil saka to koi or sahi
Wo youn Chutkion main merey Masley hal kar daita

Us ki Baten Us ki Yadain or vo khud
Pal bhar main meri Ankhon ko Jal kar daita

Aur phir har Raat uske Khawabon ka Umadta howa Lashkar
Meray har Aaj ko Guzra howa Kal kar daita

Comments