zindagi yun thi k jeene ka bahana tu tha

zindagi yun thi k jeene ka bahana tu tha
hum faQat zaib e hikayat the fasana tu tha

Hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijraan mein woh log
aate jaate huye mausam the zamana tu tha

Ab k kuch dil hi na maana k palat kar aate
warna hum dar ba daron ka to thikana tu tha

yaar aghyaar k haathon mein kamanein thein Faraz
aur sab dekh rahe the k nishana tu tha

Comments