Wo jo naQsh thay teri yaad kay

Wo jo naQsh thay teri yaad kay
Mujhay khawab kaisay dhikha gaye
Khabhi waQt raah mein ruk gaya khabhi phooL Loat kay aa gaye

Wo jo Geet tum nay suna nahi meri umer bhar ka Rayaaz tha
Meray dard ki thi wo dastaan jisay tum hansi mein urraa gaye

Yeh jo siLsiLa sa hay payar ka main nay dhaikha is mein wo mojza
wo jo Lafz meray Gumaan mein thay wo teri zuban pay aa gaye

Meri umer say na simat sakay meray pas itnay sawaL thay
Teray pas jitnay jawab thay teri ik nigah mein aa gaye

Comments