Us aik shakhs se milna milana khatam huwa
Ab aasman pe mera aana jaana khatam huwa
Na us se tark e Taaluq huwa na ahed e wafa
Ek intizaar k jaari raha na khatam huwa
Abhi tu dil se use aankh me utaara hi tha
K aik pal bhi na guzra zamaana khatam huwa
Main apne aap me kam bhi na tha magar khud ko
Kisi pe itna Lutaya khazaana khatam huwa
Jo aisa hai tu zamaane Bas ab Khuda Hafiz
Tere yahan se mera aab-o-daana khatam huwa

Comments
Post a Comment