Tu bata ay diL e BeTaab kahan ate hain

Tu bata ay diL e BeTaab kahan ate hain
Hum ko khush rehne k adaab kahan ate hain

Main to yak musht usse sonp doon sab kuch Lekin
Aik muthi main mere khwab kahan ate hain

Muddaton baad tujhe dekh k diL bhar aaya
Warna sehraaon mein saiLaab kahan aate hain

Meri Bedaar nigaahon mein agar bhooLay se
Neend aaye bhi to khwab kahan aate hain

Hum kisi tarah tere dar pe thikaana kar Lein
Hum FaQeeron ko yeh adaab kahan aate hain

Sar Bassar FaQat jin mein teri jhaLLak miLti hai
Ab Muyassar hamen woh khwab kahaan ate hain

Comments