Kabi humne Bhi apne Ru Ba Ru ik chand dekha tha

MuQaddas Ankh me iski ye kesa pyar dekha tha
Haseen shahkar dekha tha
Kabi humne Bhi apne Ru Ba Ru ik chand dekha tha

Haseen sandal se honton k wo khad o khal aise thay
k jese chandi me har tarf khushbu bikhar jaye

Wo honton par tabasum ka haseen ik taj rakhti thi
Kabi khulta nahi tha jo wo aisa raz rakhti thi

Udasi ki ghari me hum jo us k sath chalte thay
To us k shereen lehjay me hazaron phoL khilte thay

Wo sharmati to chehre par naya ik rang aa jata
Ghzaalon ko Bhi uski chal se ik dhang aa jata

Wo jb chalti Saba usko theher ke dekhne lagti
ShafaQ Bhi hoton ko utar k dekhne lagti

Wo Baalon ko jhatakti jab to Yun lagta k jaise
BadLiyon se chand nikla ho

Wo jis dum gungunati thi to ye mehsos hota tha
Kisi mandir ki sari ghantiyan bajti hon holay se
Wo aisa chand tha jiski kabi 15 nhi dekhi

MuQaddas Ankh me uski ye kesa pyar dekha tha
Haseen shahkar dekha tha
Kabi hum ne Bhi apne Ru Ba Ru ik chand dekha tha

Comments