Deedaar ki hawass hai na shauQ e visaaL hai

Deedaar ki hawass hai na shauQ e visaaL hai
Azaad har khayaL se mast e khayaL hai

Keh do yeh koh kann se hai marna nahin kamaaL
Mar mar k Hijar e yaar mein jeena kamaaL hai

Aankhein bata rahi hain jaage ho raat ko
In saaghron mein boo e sharab e wisaaL hai

Barsaao teer mujh pe par itna jaan Lo
PehLo mein diL hai diL mein tumhara khayaL hai

Aankhein Larra k un se hum Aafaat mein parr gaye
Aankhon ki har zubaan pe diL ka sawaaL hai

Butt keh diya jo mene to ab boLte nahi
Itni si baat ka tumhe itna khayaL hai

Main Daamin e nayaaz mein ashk e chakdaan hoon
Koi uthaaa k dekh Le uthna muhaaL hai

Comments