Apni fiza se apne zamanon se kat gaya
Pathar khuda bana to chatanon se kat gaya
Phainka thakan ne jaal to kiyon kar katay gi raat
Din to bulandiyon mein urraanon mein kat gaya
Wo sar k jis mein ishq ka sauda tha kal talak
Ab sochta hoon kya mere shaanon se kat gaya
Phirtay hain phan uthaaye huway ab hawas k naag
Shaayad zameen ka rabt khazaanon se kat gaya
Dooba huwa mila hai makeeno k khoon se
Wo raasta jo apne makaanon se kat gaya
Mil kar juda huwa tha koi aur us k baad
Har aik lamha apne zamanon se kat gaya
Poet: Umeed Fazli

Comments
Post a Comment