Faraib e zaat say niklo jahaan k saanehay daikho,

Faraib e zaat say niklo jahaan k saanehay daikho,
HAqiqat munkashif ho gi kabhi tau aaienay daikho,

Wohi ek ajnabi jis say taalluq sarsari sa tha
Hamaray dil main hotay hain usi k tazkiray daikho,

Likha hay waqt nay ye bhi ajab apnay muqaddar main
Palatna hi nahi jis ko usi k raastay daikho,

Hamain samjho na khush itna laboun ki muskurahat say,
Hamari aankh main phelay hazaroun haadsay daikho,

Thakay haray say baithay thay magar teri sada sun kar
Shikasta pa chalay aaye hamaray hauslay daikho.

Comments