Ek dariya tha aur kinaara tha,

Ek dariya tha aur kinaara tha,
mera gaaon bahut hi pyaara tha.

Chhat tapakti thi baarishon mein kabhi,
ghar tha kachcha, magar humara tha.

Haath sar par kisi ka hone se,
dil ko dharas si thi, sahara tha.

Chhor kar sab wahan chale aaye,
hum ko deewangi ne maara tha.

Dil jo saawan mein mil ke dharke the
ek tumhaara tha ek humara tha..

Le chal phir mujhe wahin
maine bachpan jahan guzaara tha.

Comments