Parday se ik Jhalak jo Wo Dikhla k Reh gaye
Mushtaq e Deed aur b Lalcha k Reh gaye.
Aainy me Wo dekh rahe thy Bahaar e Husan
Aya Mera Khyal tu Sharma k reh gaye.
Jab Aashqon se Sadma e Hijran na Uth saka
Akhir ko aik Roz Wo Sum(Zehr) Kha k reh gaye.
Jab Wo Chota tu kuch na raha Dil me Ik Magar
Dagh e Firaq Us Gul e Raana k reh gaye.
Milny ki Un se aik b Sorat na ban pari
Saray Musawwady Dil e Daana k reh gaye.
Toka jo Bazm e Ghair se aaty huwe Unhen
Kehty bana na Kuch Wo Qasam Kha k reh gAye.
Dawa e Ashqi hai tu Hasrat karo Nibah
Ye Kya k Ibtada hi me Gabra k reh gaye.
Poet:
Hasrat Mohani

Comments
Post a Comment