Manzar e Shab ko Lahoo Me Jab Se Dakhil kar Diya

Manzar e Shab ko Lahoo Me Jab Se Dakhil kar Diya
Tha Tanaffus Me Jo Matam Us ko Mehfil kar Diya.

Bad o Baraan Me Diyya Jo Bujh Gaya Tha Hath Par
Wo Jalaa kar Aaj Sooraj k Muqabil kar Diya.

Ho Chuka Hai Is Byabaan Me Parrao Mustaqil
Us ka Naqsh e Paa Mila Tha Hum Ne Manzil kar Diya.

Apne Jumla Doston Se Poochta Hun Aaj Phir
Mujh ko Dushman ki Safon Me Kis Ne Shamil kar Diya.

Umar Bhar ka Aik Sajda Main Ne NUSRAT Jab kiya
Ek Ajab Se Waswasy Ne Us ko Baatil kar Diya.

Comments