Kahein aisa na ho Janaan k mera aks chupkay say
Teri Janib palatnay ka har ik rasta kahein na band ho jaye
Meri yadon ka har panchhi tumhary hath say niklay
Falak abad ho jaye Ya phir barbad ho jaye
Mera diL ab k seenay mein dharaknay say mukar jaye
Anaa ki sabz tehni ko main khud he torr deta hon
Tumharay wastay Janaan zid apni chhorr deta hon
Yehi ik khwab bunna chahtay thay na
Yehi zid thi tumhari naa
K khud kehtay nahi thay tum
FaQat meri zubaan say he mera IQraar sunna chahtay thay naa
Lo kehta hon meri Janaan Mujhay tum say muhabbat hai
Suno Janaan Mujhay ye aitraaf ab Barmala hay k
Meri rag rag mein Khoon ban k tu behta hai
Meri Aankhon mein ik khwab e haseen ban k tu rehta hay
K meray jism ka har 1 Hissa or seenay ki har ik dharkan
Sabhi sansein ye kehti hain
Mujhay Tum Say Muhabbat Hai
Yehi Such hai
Mujhay Tum Say Muhabbat hai

Comments
Post a Comment