Garmi e hasrat e naakaam se jal jaate haiN

Garmi e hasrat e naakaam se jal jaate haiN
ham charaaGoN ki tarah shaam se jal jaate haiN

jab bhii aata hai mera naam tere naam ke saath
jaane kyuN log mere naam se jal jaate haiN

Khud numaai to nahiN shevaa e arbaab e wafaa
jin ko jalanaa ho wo aaraam se jal jaate haiN

bach nikalte haiN agar aatish e sayyaad se ham
sholaa e aatish e gulfaam se jal jaate haiN

shamaa jis aag meN jalti hai numaaish ke liye ham usi aag meN gumnaam se jal jaate haiN
Poet:Qateel Shifai

Comments