Mauja-e-gul ko hum-aawaz nahi kar saktay

Mauja-e-gul ko hum-aawaz nahi kar saktay
Din tere naam se aaghaz nahi kar saktay

Is chaman-zaar mein hum sabza-e-baigana sahi
Aap ko hum nazar-andaaz nahi kar saktay

Ishq karna hai to phir saara asasa layen
Is mein to kuch bhi pass-andaaz nahi kar saktay

Dukh puhnchta hai bahut dil ko rawaiye se tere
Aur madawa tere alfaaz nahi kar saktay

Ishq mein, ye bhi khula hai, k uthana gham ka!
Kaar-e-dushwar hai, aur baaz nahi kar saktay
Poetess;Parveen Shakir

Comments