Hamein jo door se jalte huway charagh lage,

Hamein jo door se jalte huway charagh lage,
Unhen qareeb se dekha to daagh daagh lage.

Hawas ki bhool bhuliyon mein gum huwi hasti,
Bhatak raha hoon k apna koi suraagh lage.

Kami na thi mere maiyat mein soguwaron ki,
Mere azeez-o-aqaarab hi baagh baagh lage.

Main sochta hoon usay naujawan kaise kahon,
Mujhe wo shakhs to bujhta huwa charagh lage.

Khizan parast baharen chaman ko kya den gi,
Lahu se sainchiye is ko, k baagh baagh lage.

Taghiyeraat-e-zamana isi ko kehtay hain,
K ahl-e-ilm gharanay hi be'charagh lage.

Husool-e-daulat-e-dunya Khalish kamaal nahi,
Kamaal ye hai k kirdaar par na daagh lage.

Comments