DiL Mein Phir Aaj Teri Yaad Ka Mosam Aya..

DiL Mein Phir Aaj Teri Yaad Ka Mosam Aya..

Wo bheegy baaL wo bheega badan,
Wo bheegi bheegi har dharrkan, Wo GaaL haya mein dooby huwy,

Wo hont wafa sy Larzy huwy,Wo Aankhein soi soi see,
Wo Saansein khoi khoi see,
Kuch BoLo! Q khamosh ho tum?
Is DiL sy kya naraz ho tum?

Kya ab bhi tumhari FurQat mein ik saawan koi Likhta hai?
Kya ab bhi tumhary Honto'n par ik chunbann koi dharta hai?

Kya ab bhi tumhary shaano'n sy MaLmaL ka dupatta girta hai?
Kya ab bhi tumhari Baanho'n mein ik DiL sa koi rehta hai?

Main tum ko soach raha hon Bus...Tum ko soach raha hon,
Tum mujh mein doobti jati ho,main tum mein doobta jata hon,

Tum mery shaany sy Lag kar kuch kaan mein kehny waLi ho,
Tum mery dhyan ki duniya ki 1 samandar C shehzadi ho...

DiL mein phir Aaj Teri yaad ka mosam aya..

Comments