Dariya safar mein hai, na kanara safar mein hai

Dariya safar mein hai, na kanara safar mein hai
Nao nahi ye soch ka dhara safar mein hai

Pur peech rastoon ki aziyat baja magar!
Sach pochiye to apna guzara safar mein hai

Thokar mein paoon ki hai har ik ranj-e-rehguzar
Jab tak naseeb sath tumhara safar mein hai

Manzil nishan-e-rah rahay to qadam qadam
Har ranj har malal gawara safar mein hai

Socho to aas pas ki har shai thami huwi
Dekho to shehr saare ka saara safar mein hai

Dasht-e-bala mein dhoop ka ehsaas tak nahi
Kuch aisay doston ka sahara safar ne hai

Shaheen kis se hal-e-dil-e-zaar ab kahain
Suntay hain wo bhi dard ka maara safar mein hai

Comments