Aik waada hai kisi ka jo wafa nhi hota,

Aik waada hai kisi ka jo wafa nhi hota,
Warna In Taaron bhari raat mein kya nhi hota,

Jee mein aata hai uLat den un k chehry sy naQab,
HosLa kartay hain Lekin hosLa nhi hota,

Shamma jis ki Aabru par jaan dy dy jhoom kar,
Wo patanga jaLL to jata hai fana nhi hota,

Haaye yeh begaangi apni nhi mujh ko khabar,
Haaye yeh AaLam k tu diL sy juda nhi hota,

Baar-ha daikha hai Saghar Rah Guzaar-e-ishQ mein,
Kaarwan k sath aksar Rahnuma nhi hota..

Comments