Ye na thi hamari Qismat k wisaal e Yar hota

Ye na thi hamari Qismat k wisaal e Yar hota
Agar or jeety rehty yehi intezar hota,

Teray waaday pay jiye hum To ye Jan Jhoot jana,
K khushi sy mar na jaty agar aitbaar hota,

Teri Nazuki sy jana k bandha tha Ehad e Booda,
Kabhi tu na tor sakta Agar istawaar hota,

Koi mery Dil sy poochy tery teer neemksh ko,
Ye khalish kahan say hoti Jo jigar k paar hota,

Ye kahan ki dosti hai k Bany hain dost Naaseh
koi charah saaz hota Koi ghum gusaar hota,

Kahon kis sy main k kya hai Shab e Ghum buri balaa hai,
Mujhy kya bura tha marna Agar aik bar hota,

Huwy mar k hum jo ruswa Huwy Q na GharQ e Darya,
Na kabhi janaza uthta Na kahein mazaar hota,

Ye Masaail e Tasawwuf Ye tera bayaan Ghalib!
Tujhy hum wali samajhty Jo na Baadah Khwaar hota..

Comments