Usey ye kehnå mujhy na sochey
Main dil grifta adhoora shaair
Main uljhi sochon
Bikhrti nazron
Bhatakti rahon ka ik musafir
Khayal tirchhey Sawal aarrhey
Qadam merey larkhara chukey hain
Sawal aisey azal se jin par
Zameer e aadam ne kuch na socha
Jawab aisey k gar kabhi khud ko bhi bataun To kaanp jaun
Guzartey lamhon ki gard chehrey pe
Teh ba teh jamti ja rahi hai
Naqoosh merey mita rahi hai
Main apna khanjar khud apni shehrag pe aazma chuka hun
Main khud bhi khud ko bhula chukå hun
Usey ye kehna mujhey na sochey..
Main dil grifta adhoora shaair
Main uljhi sochon
Bikhrti nazron
Bhatakti rahon ka ik musafir
Khayal tirchhey Sawal aarrhey
Qadam merey larkhara chukey hain
Sawal aisey azal se jin par
Zameer e aadam ne kuch na socha
Jawab aisey k gar kabhi khud ko bhi bataun To kaanp jaun
Guzartey lamhon ki gard chehrey pe
Teh ba teh jamti ja rahi hai
Naqoosh merey mita rahi hai
Main apna khanjar khud apni shehrag pe aazma chuka hun
Main khud bhi khud ko bhula chukå hun
Usey ye kehna mujhey na sochey..
Comments
Post a Comment