Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay

Tumharay shehar ka mosam bara suhana lagay
Main ik shaam chura lon agar bura na lagay

Tumhary bas mein agar hai to bhool jao hamein
Tumhein bhulaany mein shayad hamein zamana lagy

Jo doobna hai to itny sakoon sy doobo
K aas paas ki lehron ko bhi pata na lagy

Isi liye to khilaaye hain phool safhon par
Hamein jo zakhm lagy hain wo dostana lagy

Wo ik sitara k jo rasta dikhaye hamein
Wo ik ishara k jo Harf e Mujarmana lagy

Na jany kab sy koi mery saath hai Qaisar
Jo ajnabi na lagy or Aashna na lagy..

Comments