Tumharay dil say hamari yadein nikal na payen to loat ana

Tumharay dil say hamari yadein nikal na payen to loat ana
Paraye shehron ki gar Hawayen na ras ayen to loat ana

Suna hai Hum ny Decembaron mein bujhi hoi Aag jall pary gi
Tumhara Janaan khunak rutein jab badan jalayen to loat ana

Hawass mein zarr ki Qadam utha k watan sy door to ja basy ho
Hamein Malaal e Qadam uthana kabhi rulayen to loat ana

Naye naye say marasmon k nai nai C RafaQton k
Jo darmyan mein kabhi tumhein hum bhi yaad ayen to loat ana

Suno Gullani..
Ye dooriyaan bhi ab itni ziada nahi hain achi
Jo ab k mehfiL mein saray Humdam tumhein bulayen to loat ana..

Comments