Hamaisha dair kar deta hon main,

Hamaisha dair kar deta hon main,
Har kaam karny mein
Zaroori Baat kehni ho Koi waada nibhana ho,

Usy Aawaz deni ho Usy wapis bulana ho,
Hamesha dair kar deta hon main,

Madad karni ho uski yaar ki dharas bandhana ho,
Bohat Dareena raston par kisi sy milny jana ho,
Hamesha dair kar deta hon main,

Badalty mosmon ki sair mein dil ko lagana ho,
Kisi ko yaad rakhna ho Kisi ko Bhool jana ho,
Hamesha dair kar deta hon main,

Kisi ko Moat sy pehly kisi ghum sy bachana ho
HaQeeQat or thi kuch Usko jaa k ye btana ho,

Hamesha dair kar deta hon main har kaam karny mein,

Comments