Dil k aatishdan main shab bhar

Dil k aatishdan main shab bhar
Kaisay kaisay gham jaltay hain
Neend bhara sanata jis dam Basti ki ik ik gali main
Khirkee khirkee tham jata hai

Dewaron per dard ka kohra jam jata hai
Rasta taknay wali aankhen or qindeelen bujh jati hain

To us lamhay Tery yaad ka endhan ban kar
Shola shola hum jaltay hain
Doori k mosam jaltay hain
Tum kya jano Qatra qatra dil main utarti or pighalti

Raat ki sohbat kya hoti hai
Ankhen saray khawab bujha den
Chehry apnay naqsh ganwa den
Or ainay aks bhula den
Aisay main umeed ki wehshat

Dard ki sorat kya hoti hai
Aise tez hawa main piyaray
Baray baray muunh zor diye b kam jaltay hain
Dil k aatishdan main shab bhar
Teri yaad ka eendhan ban kar Hum jaltay hain

Comments