Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan

Ab k Tajdeed e Wafa ka nahi imkaan janaan
Yad kya tujh ko dilayen tera pemaan janaan

Younhi Mosam ki ada dekh k yad aya hay
Kis Qadar jald badal jatay hain Insaan janaan

Zindagi teri ataa thi so teray naam ki hay
Hum nay jesay B basar ki tera ehsaan janaan

Dil ye kehta hay k shayad ho fasurda tu B
Dil ki kya bat karein dil to hy nadaan janaan

Muddaton sy yehi AaLam na TawaQQo na umeed
Dil pukaray hi chala jata hay Janaan Janaan

Hum Bhi kya saada thay hum nay Bhi samajh rakha tha
Gham e Doraan say juda hay Gham e Janaan Janaan

Ab k kuch aisi saji Mehfil e Yaraan janaan
Sar Bazanu hay koi sar ba Girebaan janaan

Ab tera zikar B shayad hi GhazaL mein Aaye
Or say Or huway dard k unwaan janaan

Hum k Roothi hoyi Rutt ko B manaa Letay thay
Hum nay dekha hi na tha Mosam e Hijraan janaan

Hosh aya to sabhi khwab thay reza reza
Jesay urrtay huway OraaQ e Pareshaan janaan..

Comments