Teri Rehmaton K Diyaar Mein Teray BadLon Ko Pata Nahi

Teri Rehmaton K Diyaar Mein Teray BadLon Ko Pata Nahi
Abhi Aag Sard Nahi Huwi Abhi Ek Alao Bujha Nahi

Meri Bazm e Dil To Ujarr Chuki Mera Farsh e Jaan To Simmat Chuka
Sabhi Ja Chukay Meray HumNasheen Magar Eik Shakhs Gaya Nahi

Dar o Baam Sub Ne Saja Liye Sabhi Roshni Mein Nahaa Liye
Meri Ungliyan Bhi Jhulas Gayein Magar Ek Charaagh Jala Nahi

Gham e Zindagi Teri Raah Mein Shab e Aarzo Teri Chah Mein
Jo Ujarr Gaya Wo Basa Nahi Jo Bicharr Gaya Wo Milla Nahi

Jo Dil o Nazar Ka Saroor Tha Meray Paas Reh K Bhi Door Tha
Wohi Ek Ghulaab Umeed Ka Meri Shaakh e Jaan Pe Khila Nahi

Pass e Kaarwan Sar e Rehguzar Mein Shikasta Paa Hoon To Is Liye
K Qadam To Sub Se Mila Liye Mera Dil Kisi Se Mila Nahi

Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai To Ajeeb Tar Hoon Main Aap Bhi
Mujhey Manzilon Ki Khabar Nahi Usay Raston Ka Pata Nahi..

Comments