Dil K Band Makaan Mein,

Dil K Band Makaan Mein,
Khawahishein Saskti Hain,
Ishq Been Karta Hai,
Chahtein Saskti Hain,

Mere Andar Aaj Bhi Door Tak Andhaira Hai,
Mere Andar Aaj Bhi Wehshtein Saskti Hain,

Jin Ko Meri Zaat Pe Aetmaad Tha Pyare,
Aaj Bhi Wo Khoobroo Aurtein Saskti Hain,

Ab Tere Wajood Ki Koi Zaroorat Hi Nahi,
Ab To Jaan Boojh Kar Ye Rutein Saskti Hain,

Kache Ghar K Aangnon Mein Khelti Hain Chahtein,
Pake Ghar Mein Chand Jaisi Sooratein Saskti Hain..

Comments