khaak ho jaaege ham tum ko khabar hone tak

aah ko chaahiye ek umer asar hone tak
kaun jeetaa hai tere zulf ke sar hone tak

aashiqi sabar talab aur tamannaa betaab
dil ka kya rang karun khun.e.jigar hone tak

ham ne mana ke tagakul na karoge lekin
khaak ho jaaege ham tum ko khabar hone tak

gham.e.hasti ka kisse ho kuz.marg.e.ilaaj
shamaa har rang me jalti hai sahar hone tak

Comments