apna Gham leke kahin aur na jaya jaaye.
ghar men bikhri hoi chizon ko sajaya jaaye.
jin chiragon ko havaaon ka koi Khauf nahin.
un chiragon ko havaaon se bachaya jaaye.
baag men jaane ke aadaab huwa karte hain..
kisi titli ko na phoolon se uraaya jaaye.
Khudkushi karne ki himmat nahin hoti sab me.
aur kuch din yun hi auron ko sataaya jaaye.
ghar se masjid hai bahut dor chalo yun kar len.
kisi rote huwe bache ko hansaya jaaye.

Comments
Post a Comment