Is Dil ki Jagah Aur Nishana Hi Koi Aur
Ab Dhoond Liya Us Ne Thikana Hi Koi Aur
Main Aur Khazanay ko Yahaan Dhoond Rahi Thi
Khouda To Nikal Aaya Khazaana Hi Koi Aur
Main Aur Zamanay k Liye Aayi Thi Lekin
Aaya Mere Hissay Mein Zamaana Hi Koi Aur
Rone ki Saholat Bhi Nahi Us Ko Mere Baad
Ab Dhoondta Rehta Hai Wo Shaana Hi Koi Aur
Hum Mein Jo Taalluq Tha Wo Kuch Aur Tha Lekin
Logon Ne Bana Dala Fasaana Hi Koi Aur
Jab Pehle Pahal Tum Se Mulaqaat Huwi Thi
Yaad Aaya Mujhe Dost Puraana Hi Koi Aur
Main Saray Zamanay Mein Qamar Dekh Chuki Hon
Aankhon Sa Nahi Aaeina Khaana Hi Koi Aur
Poet: Rehana Qamar

Comments
Post a Comment