BicharnAy walay Chalay jo ho to bata k jao..

BicharnAy walay Chalay jo ho to bata k jao..
K kitni shaamein udaas aankhon mein kaatni hain..

K kitni subhen Akailay pann mein guzarni hain..
BAta k jaao K kitnay sooraj azaab raston ko daikhna hai..

K kitnay Maahtab sard raaton ki wussaaton say nikaaLnay hain..
Bata k jaao K chand raton mein waQt kesay guzaarna hai
Khamosh Lamhon mein tujh ko kitna pukaarna hai

BAta k jaao K kitnay Lamhay shumaar karnay hain hijrton k
K kitny mosam mein keekh kar k judaaiyon me guzarnay hain..

Bata k jaao K panchhiyon nay Akelay pann ka sabab jo poochha to kya kahon ga
Kisi nay rastay mein rok kar jo mujh say poochha..
K pichhlay mosam mein saye saye jo Ajnabi tha kahan gaya hai to kya kahon ga
Bata k jaao...

BAta k jaao k kiss say tera GiLa karon ga..
Bichharr k tujh say habeeb...
Kiss sAy miLa karon ga..
Bataa k jaao..

Comments