Pee Li Tu Kuch Pata Na Chala Wo Saroor Tha,
Wo Us Ka Saya Tha K Rashak-E-Hoor Tha.
Kal Main Ne Us Ko Daikha Tu Daikha Nahi Gaya,
Mujh Se Bichar K Wo Bhi Bohat Gham Se Choor Tha.
Roya Tha Kon Kon ?
Mujhe Kuch Khabr Nahi,
Main Us Gharri Watan Se Kayi Meel Door Tha.
Sham-E-Faraq Aayi Tu Dil Doobnay Laga,
Hum Ko Bhi Apnay Aap Pay Kitna Ghuroor Tha.
Chehra Tha Ya Sada Thi Kisi Bhooli Yaad Ki,
Aankhain Thi Us Ki Yaaro K Darya-E-Noor Tha.
Nikla Jo Chaand Aayi Mehak Taiz Si MUNEER,
Maire Siwa Bhi Bagh Me Koi Zaroor Tha.
Poet Muneer Niyazi

Irshad
ReplyDelete