Kuch Guzra zamana Yaad aaya

Bikhri bikhri shaamon mein,
Sehmi sehmi Raaton mein,

Tanha Tanha Lamhon mein,
Gumsum Gumsum Baaton mein,

Kuch Guzra zamana Yaad aaya

AAj Gosha-e-Tanhai mein,
Ik Shakhs Purana yaad Aaya..

Kaghaz ki Tehreeron mein
Dhundli si Tasveeron mein

Ik chehra anjaana yaad Aaya

Wo parrhna ussay kitaabon mein
Aur dhoondna Ussay khawabon mein

Ussay paanay ki is koshish mein
Meri neend ka jana yaad Aaya

Aaj gosha-e-Tanhai mein
Ik shakhs puraana yaad Aaya,,

Comments