Khuwaab Meri Aankhon Se Kaisa Kaisa Chheena Hai

Khuwaab Meri Aankhon Se Kaisa Kaisa Chheena Hai
Muflisi Se Barrh Kar Bhi Kiya Koi Kameena Hai

Roshni K Madfaun Mein Khushbuon Ki Mayyat Hai
Aarzoo K Aangan Mein Dard Ki Haseena Hai

Na Muraad Ratein Hein, Be-Hadaf Ujaaley Hein
Zillaton K Dozakh Mein Aur Kitna Jeena Hai ?

Raiza Raiza Khuwabon Ki Karchiyon Ko Chun Chun Kar
Zehar Zindagi Ka Ye Qatra Qatra Peena Hai

Janey Kon Hotey Hein Jo Muraad Patey Hein
Apney Wastey To Ye Tairhwaan Maheena Hai

Janey Kis Zamaney Mein Ujratein Bhi Milti Thi
Ab To Mehnaton K Aawaz Khoon Aur Paseena Hai

Zar-Parast Basti Ki Kiya Haseen Saqafat Hai
Hoont Muskuratey Hein Par Dilon Mein Keena Hai

Khauf K Samandar Mein Iztaraab Ki Moujein
Jin Pay Be-Yaqeeni Ka, Dolta Safeena Hai

Roz Ik Azziyat K Dusht Se Guzarta Hoon
Naarsi K Teeron Se Chhalni Mera Seena Hai

Qarb K Alaao Mein Shola Shola Jalta Hoon
Wehshaton Ki Sangat Mein Lamha Lamha Jeena Hai

Shaam-e-Zindagi Sar Pe Aa Kharri Hai Aur Khud Ko
Raiza Raiza Chunna Hai, Lakht Lakht Seena Hai

Comments