Youn raah-e-wafa ki saleeb par 2 Qadam uthaanay ka shukriya..

Youn raah-e-wafa ki saleeb par 2 Qadam uthaanay ka shukriya..
Barra purkhatar tha yeh rasta teray Loat aanay ka shukriya..

Jo udaas hain teray hijar mein jinhein bojh lagti hai zindagi..
Sar-e-bazm unhein youn dekh kar teray muskuranay ka shukriya..

Teri yad kiss kiss bhais mein mery shair-o-naghmaat mein dhal gai..
Yeh kamaal tha teri yaad ka mujhay yaad aanay ka shukriya..

Jo zamaanay bhar ka asool tha wo asool tu nay nibha diya..
Yehi rasm thehri hai moatbar mujhy bhool jaanay ka shukriya...

Comments