Tualuq Rakh Liya Baaqi Yaqeen Ab Torr Aaya Ho0n

Tualuq Rakh Liya Baaqi Yaqeen Ab Torr Aaya Ho0n
Kisi Ka Saath Dena Tha Kisi Ko Chorr Aaya Ho0n

Tumharay Saath Jeenay ki Qasam Khanay Se Kuch Pehlay
Main Kuch Waaday Kai Qasmain Kahin Par torr Aaya Ho0n

Dosti Kaanch Ka Zindan thi Yun Sang-E-Giran Kab thi
Jahan tak chorr Sakta Tha Wahin par chorr Aaya Ho0n

Palat Ker Aa Gaya Lekin Yun Lagta Hai ke Apna Aap
Jahan wo Mujh Se Bichhray Thay Wahin Par dil Chorr Aaya Ho0n

Usay Janay Ki Jaldi Thi So Main Aankhon Hi Aankhon Main
Jahan Tak Chorr Sakta Tha Wahan Tak Chorr Aaya Ho0n.

Comments