Main Usay WaQif-e-uLfat Na Karon...

Main Usay WaQif-e-uLfat Na Karon...
Sochta hon k bohat saada-o-Masoom hay wo..
Main abhi us ko shanasa-e-Mohabat na karon..

Loh ko uski Aseer-e-Gham-e-uLfat na karon..
Usko ruswa na karon WaQf-e-Museebat na karon..

Sochta hon k abi ranj say azad hay wo..
WaQif-e-Dard nahi khoo gar AaLaam nahi..
Zindgi us k Liye zehar bhara jaam nahi..

Sochta hon Mohabat hay jawani ki khizan..
Us nay dekha hi nahi duniya mein baharon k siwa..

Nikkhat-o-Noor say Labraiz nazaron k siwa..
Sabza-zaron k siwa or sitaron k siwa..

Sochta hon k gham-e-diL na sunaon usko..
Samnay us k kabi raz ko uriyaan na karon..

Khalish-e-diL say usay dast-o-Girebaan na karon..
Us k jazbat ko main shola-e-Bad Amaan na karon..

Sochta hon k jaLa day gi Mohabat usko..
Wo Mohabat ki bhala taab kya layegi..

Khud to wo aatish-e-jazbat me jal jaye gi..
Or dunia usko anjam pay tarpaye gi..

Sochta hon k bohat sada-o-masom hay wo..
Main usay waQif-e-uLfat na karon..

Comments