Kisi mausam ka jhonka tha

Kisi mausam ka jhonka tha
Jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai

Gaye saawan mein ye deewarein seeli nahi theen
Na jaane is dafa kyon in mein seelan aa gayi hai

dararein padh gayi hain aur seelan is tarah bahti hai jaise
Khushk rukhsaaron pe geele aansoon chalte hain. ..

hawa ki sans kiyun sehmi hui hai
meri waqif ki thi jab aati thi kamray main

meray seenay main bhar jati thi
jaisay badbaan bhartay hain kishti ke

Ye baarish gungunati thee
isi chat ki munderon pe

ye baarish gungunati thee isi chat ki munderon pe
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par

ungli se likh jaati thee sandese
bilakhti rahti hai baithi hui

ab band roshandanon ke peetche
Dophaharein aisi lagti hain

bina mohron ke khali khane rakhhein hain
na koi khelne waala hai baazi

aur na koi chaal chalta hai
Na din hota hai na ab raat hoti hai
sabhi kuch ruk gayaa hai

wo kya mausam ka jhonka thaa
jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai.

Comments