Yahi Din The,

Yahi Din The,
Yahi Phoolon Ka Muasam Tha,

Jab In Aankhon Ko,
Do Aansoo Mile The,
Jo Aankhein,
Karbb-E-Maah-O-Saal Se,
Pathra Gai Thi,
Zara Si Dair Mein,
Bujhne K Nazdeek Aa Gai Thi,

Yahi Din The,
Yahi Phoolon Ka Muasam Tha,

Keh Jab,
Mere Lahoo Ki Lehrain,
Doobi Hui Aandhi Chali Thi,
Aur Dareeche Khul Gaye The,
Dar-O-Deewar Jese Dhul Gaye The,
To Main Apne Lahoo Se,
Surkh Ro Ho Kar,
Qafs Abad Se Bahir Nikal Aaya,
Shab-E-Faryad Se Bahir Nikal Aaya,

Yahi Din The,
Yahi Phoolon Ka Muasam Tha,

Main Apne Khawab K Bahir Kharha Tha,
Mujhe Taabeer Lene Aa Gai Thi,
Keh Raanjhe Ko,
Khud Us Ki Heer Lene Aa Gai Thi,

Yahi Din The,
Yahi Phoolon Ka Muasam Tha...

Poet Nisar Nasak

Comments