Wohi parind k kal gosha geer aisa tha

Wohi parind k kal gosha geer aisa tha
Palak jhapakte hawa mein lakeer aisa tha

Usey to dost k haathon ki soojh boojh bhi tha
Khata na hota kisi taur, teer aisa tha

Payaam dene ka mausam na hum-nawa paaker
Palat gaya dabe paaon safeer aisa tha

Kisi bhi shaakh k peeche panaah laiti main
Mujhe wo torr hi leta shareer aisa tha

Hansi k rang buhat mehrbaan thay laikin
Udaasiyon se bhi nibhti khameer aisa tha

Tera kamaal k paaon mein bairiyaan Daaleen
Ghazal-e-shoaq kahaan ka aseer aisa tha

Comments